Posted By:highflown | At:03:08
Be the first to comment!
Golden Sayings of HAZRAT ALI (A.S)
Insaan ka apnay Dushman se inteqaam ka sub say acha tariqa ye he k
wo apni khoobiyo’n me izafa karey ‘Hazrat Ali (A.S)
===============================
Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar
hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye”. ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Kisi ne HAZRAT ALI R.A se poocha: “Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya: “Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha: “Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti
cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya: “Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar
bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar
aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
===============================
Agar kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo Aa’la zarf huwa to aap ko aur izzat day ga or kam zarf huwa to
khud ko Aa’la zarf sumjhay ga ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
HAZRAT ALI R.A Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Aag Ki Manind Hay”
“Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega”
“Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega”
===============================
Aazmaye Huwe Ko Azmana Bewakufi He. ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum
Per ALLAH Ki inaayat Hai. (Imam Hussain A.S)
===============================
HAZRAT ALI R.A ka farman hay:
Apne Dushman Ko 1000 (Hazaar) Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost
Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 (Aik) Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara
Dushman Banay
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho. (HAZRAT ALI (A.S)
===============================
Jab meri DUA qabool ho tu mein khush hota hu’n kyun k is mein meri
marzi hai aur Jub qabool na ho tu mein aur khush hota hu’n kyun k ye
ALLAH ki marzi hai ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezai’n hai’n jin k milnay say
log badaltay nahi’n BAYNAQAB hotay hain( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Agar tum kisi ko chota dekh rahey ho, to tum usay door se dekh rahey
ho, Ya phir ghuroor se dekh rahey ho ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
ALLAH k nazdeek sab say ziyada guneh gaar cheez jhoot bolnay wali
zuban hay. (HAZRAT ALI R.A)
===============================
GULAAB KA PHOOL BANO! KYUN K YEH PHOOL US K HATH MEI BHI
KHUSHBU CHOR DETA HAI JO ISAY MASAL KAR PHAINK DETA
HAI.(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Mein Jannat K Shawq mein ibaadat nahi karta,
Kyun K Ye ibaadat nahi Tijaarat hay
Mein Dozakh K khawf Say ibaadat nahi karta,
kyun k ye ibaadat nahi, Ghulami Hai…
Mein ibaadat sirf is liye karta hun…
Kyun k Mera RAB ibaadat K layeq hai……. ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Aik Shakhs ne HAZRAT ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qareeb Kya Hai?
A: Qayamat
Apni zuban ki tezi us per mat azmaa’o jis ne tumhe bolna sikhaaya
( HAZRAT ALI R.A )
===============================
“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me
Naakaam ho, Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aae huwe
DOST ko ganwa de”( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
“2 cheezein saari zindagi kaam aayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Insaan Bhi kitna Ajeeb hay,
Jab kisi Cheez se Darta hay to us se duur Bhagta hay.
Jab ALLAH se Darta hay to Us k aur Qareeb Ho Jata hay.
( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Dunya Daaro’n ki sohbat ikhteyaar na karo kyun K Agar tu Tang-dast
huwa to ye tujhe Chorh Denge aur agar tu Dawlat-mand huwa to Tujh
se Hasad karen gay.( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Acha Dost kitni dafa Hi kyun na rooth jaye usay Mana Lena
Chahiye! kyun K Tasbeeh K daaney kitni dafa hi Kyun na bikhrei’n
Chun Liye Jate Hain! ( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaaho’n ki saza foran nahi
deta..” ( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
4 (Chaar) Batei’n Ilm Ka Nichour hain,
1.) ALLAH ki itni ibaadat karo jitni tumhain ALLAH Ki Zarurat Hay.
2.) ALLAH ki naafarmani itni karo jitna ALLAH K Azaab per Sabr kar
Saktey ho..
3.) Dunya k liye itna amal karo jitna K Tumhei’n dunya mein rehna
Hai,,
4.) Aakhirat K liye itna amal karo jitna K Tumhein wahan rehna
Hai….!!! ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Buraayi mein kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda k saath
badiyanati hay.( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat dekho, ho
sakta hay us ki sharminda aankhein tumharay dil main ghuroor ka
beej bo dein.( HAZRAT ALI R.A )
===============================
“Ibaadat aisi karo jis se tumhari ROOH ko maza aey kyun k jo ibaadat
dunya mei maza na de wo akhirat mei kya JAZAH degi”….
( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Barish ka qatra Seep or Saanp dono k munh mein girta hai lekin SEEP
usay MOTI Aur Saanp usay ZEHR bana deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhey ye tumaray haq
mein behtar hay Bajaye iss k tum bura karo aur zamana tum ko acha
samjhe ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Jaha’n Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath
Barhaao Warna Tumhari TANHAAYI Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( HAZRAT ALI R.A)
===============================
Beshak dunya aur aakhirat ki misaal aise hay jaisay 1 (aik) shaks ki 2
(Do) biviyaa’n ho’n, 1 ko raazi karta hay to doosri ruuth jati hay
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Nek logo’n ki sohbat ikhtiyar karo nek ban jao gai,
buron ki suhbat se parhaiz karo badi se door ho jao gai.
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
“3 kaam kisi k dil mein aap ki izzat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.”
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Achi zindagi guzaarnay k 2 tareeqay hai’n.
1- Jo pasand hain usay haasil kar lo ya Phir
2- Jo hasil hay usay pasand kar lo.
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
3 (Teen) Insan 3 cheezo’n se mehroom raheinge
1.Ghusay waala Durust faislay se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kaamiyabi se.
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Agar Tum Usay Na Pa Sako Jise Tum Chahtay Ho,Tu Usay Zaroor Pa
Lena Jo Tumhe Chahta Hay
(HAZRAT ALI (A.S)
Subscribe to:
Posts (Atom)