Posted By:highflown | At:06:31
|
ALL QUOTES OF HAZRAT ALI ( R.A) IN HERE READ AND THINK ABOUT
|
- Hazrat ALi (R.A): Apni zubaan ki taizi us "maa" par mat azmao, jisnay tuhhein bolna sikhaya.
- Hazrat ALi (R.A): Khaliq se mangna ezat ki bat he, agr de to rehmat or na de to hikmat, makhloq se mangna zillat he agr de to ehsan na de to shrmingdgi.
- Hazrat ALi (R.A): Duniya ek dhalata howa saya hai agr ye tumharay liya baqi b rahy to tum es k liye baqi nahi raho ga.
- Hazrat ALi (R.A): Agar tum sedhay rastay pe ho aur kisi muskil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy.
- Hazrat ALi (R.A): Tamam nekyan 3 baton me jama kardi gae hen.
(i) Nigah
(ii) Khmoshi
(iii) Gugftagu
- Hazrat ALi (R.A): Tabeyat ki narmi aur sakhawat, insan ko dushmnon k dilon main b mehboob bana deti hai.
- Hazrat ALi (R.A): Ay ALLAH pak, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya, tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare.
- Hazrat ALi (R.A): Zarorat k waqat khuda ko yaad kernay wala dono soorato may khuda ko bool jata hay aik zarorat puri honay pay ya phir zarorat puri na honay pary.
- Hazrat ALi (R.A): Tumhary nafs ki qeemat janat hay isy janat say kam qeemat pay na bechna.
- Hazrat ALi (R.A): Koi aaina insan ki itni sachi tasveer nahi paish kar sakta jitni k oski guftagoo paish karti hai.
- Hazrat ALi (R.A): Jab tumhain khusyan ailnay lagain tou 3 chezon ko na bhoolo, (i) Allah ko. (ii) Uski makhlooq ko. (iii) Apni assliat ko.
- Hazrat ALi (R.A): Gareeb pr ehsan kro hyun k gareeb hone main waqt nahi legta.
- Hazrat ALi (R.A): Bura dost koiley ki tarah hota hai, jab garam hota hi to haath jala deta hai aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.
- Hazrat ALi (R.A): Jis shaks ne apna razz kisi ko bata diya to wo us ka mahtaaj ho gaya.
- Hazrat ALi (R.A): Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
- Hazrat ALi (R.A): Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.
- Hazrat ALi (R.A): Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy
- Hazrat ALi (R.A): Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
- Hazrat ALi (R.A): Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
- Hazrat ALi (R.A): Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
- Hazrat ALi (R.A): Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
- Hazrat ALi (R.A): Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
- Hazrat ALi (R.A): Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa "Zarf" waisi Uss ki "Takhleeq"
- Hazrat ALi (R.A): Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.
- Hazrat ALi (R.A): Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.
- Hazrat ALi (R.A): Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
- Hazrat ALi (R.A): Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay
- Hazrat ALi (R.A): Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain
- Hazrat ALi (R.A): Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi
- Hazrat ALi (R.A): Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay
- Hazrat ALi (R.A): Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi
- Hazrat ALi (R.A): Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.
- Hazrat ALi (R.A): Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay
- Hazrat ALi (R.A): Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay
- Hazrat ALi (R.A): Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.
- Hazrat ALi (R.A): Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain
- Hazrat ALi (R.A): Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti...
- Hazrat ALi (R.A): Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay
- Hazrat ALi (R.A): Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay
- Hazrat ALi (R.A): Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay
- Hazrat ALi (R.A): Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain
- Hazrat ALi (R.A): Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se
- Hazrat ALi (R.A): Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.
- Hazrat ALi (R.A): Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy
- Hazrat ALi (R.A): Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai
- Hazrat ALi (R.A): AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya ... tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare
- Hazrat ALi (R.A): Duniya ka sab say mshkil kam apni islh krna, aur sab assan kam dusroon par tanqeed karna hay
- Hazrat ALi (R.A): Apni sooch ko pani ky qtroon say bhe zeyada shafaaf rakho kun k jes tarha qtroon say drya banta hay isi tarha shchon say iyman banta hay
- Hazrat ALi (R.A): Koi tumhara dil dukhay to naraz mat hona. kun k qudrat ka qanoon hay jis darakht ka phal zeyada mitha hota hay log usi ko pathar martay han