Posted By:highflown | At:03:08
Be the first to comment!
Golden Sayings of HAZRAT ALI (A.S)
Insaan ka apnay Dushman se inteqaam ka sub say acha tariqa ye he k
wo apni khoobiyo’n me izafa karey ‘Hazrat Ali (A.S)
===============================
Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar
hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye”. ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Kisi ne HAZRAT ALI R.A se poocha: “Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya: “Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha: “Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti
cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya: “Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar
bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar
aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
===============================
Agar kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo Aa’la zarf huwa to aap ko aur izzat day ga or kam zarf huwa to
khud ko Aa’la zarf sumjhay ga ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
HAZRAT ALI R.A Ka Farman Hay:-
“Bura Dost Aag Ki Manind Hay”
“Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega”
“Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega”
===============================
Aazmaye Huwe Ko Azmana Bewakufi He. ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum
Per ALLAH Ki inaayat Hai. (Imam Hussain A.S)
===============================
HAZRAT ALI R.A ka farman hay:
Apne Dushman Ko 1000 (Hazaar) Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost
Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 (Aik) Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara
Dushman Banay
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho. (HAZRAT ALI (A.S)
===============================
Jab meri DUA qabool ho tu mein khush hota hu’n kyun k is mein meri
marzi hai aur Jub qabool na ho tu mein aur khush hota hu’n kyun k ye
ALLAH ki marzi hai ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezai’n hai’n jin k milnay say
log badaltay nahi’n BAYNAQAB hotay hain( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Agar tum kisi ko chota dekh rahey ho, to tum usay door se dekh rahey
ho, Ya phir ghuroor se dekh rahey ho ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
ALLAH k nazdeek sab say ziyada guneh gaar cheez jhoot bolnay wali
zuban hay. (HAZRAT ALI R.A)
===============================
GULAAB KA PHOOL BANO! KYUN K YEH PHOOL US K HATH MEI BHI
KHUSHBU CHOR DETA HAI JO ISAY MASAL KAR PHAINK DETA
HAI.(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Mein Jannat K Shawq mein ibaadat nahi karta,
Kyun K Ye ibaadat nahi Tijaarat hay
Mein Dozakh K khawf Say ibaadat nahi karta,
kyun k ye ibaadat nahi, Ghulami Hai…
Mein ibaadat sirf is liye karta hun…
Kyun k Mera RAB ibaadat K layeq hai……. ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Aik Shakhs ne HAZRAT ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qareeb Kya Hai?
A: Qayamat
Apni zuban ki tezi us per mat azmaa’o jis ne tumhe bolna sikhaaya
( HAZRAT ALI R.A )
===============================
“Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me
Naakaam ho, Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aae huwe
DOST ko ganwa de”( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
“2 cheezein saari zindagi kaam aayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Insaan Bhi kitna Ajeeb hay,
Jab kisi Cheez se Darta hay to us se duur Bhagta hay.
Jab ALLAH se Darta hay to Us k aur Qareeb Ho Jata hay.
( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Dunya Daaro’n ki sohbat ikhteyaar na karo kyun K Agar tu Tang-dast
huwa to ye tujhe Chorh Denge aur agar tu Dawlat-mand huwa to Tujh
se Hasad karen gay.( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Acha Dost kitni dafa Hi kyun na rooth jaye usay Mana Lena
Chahiye! kyun K Tasbeeh K daaney kitni dafa hi Kyun na bikhrei’n
Chun Liye Jate Hain! ( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
“Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaaho’n ki saza foran nahi
deta..” ( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
4 (Chaar) Batei’n Ilm Ka Nichour hain,
1.) ALLAH ki itni ibaadat karo jitni tumhain ALLAH Ki Zarurat Hay.
2.) ALLAH ki naafarmani itni karo jitna ALLAH K Azaab per Sabr kar
Saktey ho..
3.) Dunya k liye itna amal karo jitna K Tumhei’n dunya mein rehna
Hai,,
4.) Aakhirat K liye itna amal karo jitna K Tumhein wahan rehna
Hai….!!! ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Buraayi mein kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda k saath
badiyanati hay.( HAZRAT ALI R.A )
_______________________________________________________
Kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat dekho, ho
sakta hay us ki sharminda aankhein tumharay dil main ghuroor ka
beej bo dein.( HAZRAT ALI R.A )
===============================
“Ibaadat aisi karo jis se tumhari ROOH ko maza aey kyun k jo ibaadat
dunya mei maza na de wo akhirat mei kya JAZAH degi”….
( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Barish ka qatra Seep or Saanp dono k munh mein girta hai lekin SEEP
usay MOTI Aur Saanp usay ZEHR bana deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhey ye tumaray haq
mein behtar hay Bajaye iss k tum bura karo aur zamana tum ko acha
samjhe ( HAZRAT ALI R.A )
===============================
Jaha’n Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath
Barhaao Warna Tumhari TANHAAYI Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( HAZRAT ALI R.A)
===============================
Beshak dunya aur aakhirat ki misaal aise hay jaisay 1 (aik) shaks ki 2
(Do) biviyaa’n ho’n, 1 ko raazi karta hay to doosri ruuth jati hay
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Nek logo’n ki sohbat ikhtiyar karo nek ban jao gai,
buron ki suhbat se parhaiz karo badi se door ho jao gai.
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
“3 kaam kisi k dil mein aap ki izzat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.”
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Achi zindagi guzaarnay k 2 tareeqay hai’n.
1- Jo pasand hain usay haasil kar lo ya Phir
2- Jo hasil hay usay pasand kar lo.
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
3 (Teen) Insan 3 cheezo’n se mehroom raheinge
1.Ghusay waala Durust faislay se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kaamiyabi se.
(HAZRAT ALI R.A)
===============================
Agar Tum Usay Na Pa Sako Jise Tum Chahtay Ho,Tu Usay Zaroor Pa
Lena Jo Tumhe Chahta Hay
(HAZRAT ALI (A.S)
Posted By:highflown | At:05:31
2 Comments so far
Quotations of Sheikh Saadi |
- Sheikh Saadi : Es say to khmoshi bater he k dil ki baat khay kar pher es say khaha jaya k ksi say na khana.
Posted By:highflown | At:07:08
2 Comments so far
All Quotations of Hazrat Umar Ibn-Khattab in Here. |
- Hazrat ABU Bakar Sadeep ( R.A) farmatay han k Zameen per mojhay Hazrat UMAE ( R.A) sa zeada koi azeez nahi. ( Hazrat Abu Bakar Sadeep R.A)
- Malay ganemat ki umeed per ksi ki jaan jokho me na dal. (Hazrat Umar R.A)
- Kum bolna hikmat, kum khana sayhat aur kum sona ibadat. (Hazrat Umar R.A)
- Jis say tumhay nafrat ho us say dartay raho. (Hazrat Umar R.A)
- Sakhi Kuda ka dost hi chahay fasiq ho, bakhiel Kuda ka dusman ha chahay Zahid ho. (Hazrat Umar R.A)
- Do namazon ko bela ksi jawas kay jama krna gunay-a-kabera hi. (Hazrat Umar R.A)
- Ksi ( shadi shuda) fogi ko medanay jung me 4 mahenay say zeada nhi rokna chaheya. (Hazrat Umar R.A)
- Her shay ka ik husan hota hay or naki ka husan ya hi k foran ki jay. (Hazrat Umar R.A)
- Jo shkas Apna raaz chopata hi wo apna ikhtyar apnay haton me rakhta hi. (Hazrat Umar R.A)
- Eman k bad nak bakht bewi say zeada koi naki nahi. (Hazrat Umar R.A)
Posted By:highflown | At:06:31
11 Comments so far
ALL QUOTES OF HAZRAT ALI ( R.A) IN HERE READ AND THINK ABOUT |
- Hazrat ALi (R.A): Apni zubaan ki taizi us "maa" par mat azmao, jisnay tuhhein bolna sikhaya.
- Hazrat ALi (R.A): Khaliq se mangna ezat ki bat he, agr de to rehmat or na de to hikmat, makhloq se mangna zillat he agr de to ehsan na de to shrmingdgi.
- Hazrat ALi (R.A): Duniya ek dhalata howa saya hai agr ye tumharay liya baqi b rahy to tum es k liye baqi nahi raho ga.
- Hazrat ALi (R.A): Agar tum sedhay rastay pe ho aur kisi muskil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy.
- Hazrat ALi (R.A): Tamam nekyan 3 baton me jama kardi gae hen.
- Hazrat ALi (R.A): Tabeyat ki narmi aur sakhawat, insan ko dushmnon k dilon main b mehboob bana deti hai.
- Hazrat ALi (R.A): Ay ALLAH pak, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya, tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare.
- Hazrat ALi (R.A): Zarorat k waqat khuda ko yaad kernay wala dono soorato may khuda ko bool jata hay aik zarorat puri honay pay ya phir zarorat puri na honay pary.
- Hazrat ALi (R.A): Tumhary nafs ki qeemat janat hay isy janat say kam qeemat pay na bechna.
- Hazrat ALi (R.A): Koi aaina insan ki itni sachi tasveer nahi paish kar sakta jitni k oski guftagoo paish karti hai.
- Hazrat ALi (R.A): Jab tumhain khusyan ailnay lagain tou 3 chezon ko na bhoolo, (i) Allah ko. (ii) Uski makhlooq ko. (iii) Apni assliat ko.
- Hazrat ALi (R.A): Gareeb pr ehsan kro hyun k gareeb hone main waqt nahi legta.
- Hazrat ALi (R.A): Bura dost koiley ki tarah hota hai, jab garam hota hi to haath jala deta hai aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.
- Hazrat ALi (R.A): Jis shaks ne apna razz kisi ko bata diya to wo us ka mahtaaj ho gaya.
- Hazrat ALi (R.A): Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
- Hazrat ALi (R.A): Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.
- Hazrat ALi (R.A): Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy
- Hazrat ALi (R.A): Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
- Hazrat ALi (R.A): Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
- Hazrat ALi (R.A): Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
- Hazrat ALi (R.A): Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
- Hazrat ALi (R.A): Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
- Hazrat ALi (R.A): Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa "Zarf" waisi Uss ki "Takhleeq"
- Hazrat ALi (R.A): Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.
- Hazrat ALi (R.A): Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.
- Hazrat ALi (R.A): Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
- Hazrat ALi (R.A): Jo tumhain khushi mein yad aaiy, samjho tum us se muhabbat kartey ho or jo tumhain gham mein yad aaiy to samjho woh tum se muhabbat kerta hay
- Hazrat ALi (R.A): Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain
- Hazrat ALi (R.A): Koi mumlikat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na insaafi ke saath nahi
- Hazrat ALi (R.A): Main ne Allah Ko apney iraadon ke totney se pehchana hay
- Hazrat ALi (R.A): Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua radd hojati hai to mujhey aur bhi zayada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi
- Hazrat ALi (R.A): Tumhari woh khamoshi jis ke baad tum se baat karney ki khawahish paida ho jaiey, tumharey uss kalam sey behtar hay jis ke baad tum ko khamosh ker diya jaiy.
- Hazrat ALi (R.A): Khoobsorati kaproun se nahe ilm o adab se hoti hay
- Hazrat ALi (R.A): Her shakhas ki qeemat woh hunar hay jo us ke ander hay
- Hazrat ALi (R.A): Woh Gunah jis ka tumhein ranj ho Allah Tala k nazdik us neki se behtar hy ji se tum mein ghuroor paida ho jaiy.
- Hazrat ALi (R.A): Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Milney Per Log Badaltay Nahi, Balkeh Be-Naqab Hotey Hain
- Hazrat ALi (R.A): Dolat Mitti ki tarhan hy aur mitti ko pair k niche rehna chahyay. Agar Sir pe charhao gay to Qabar Ban jaiy gi Aur Qabar zinda Insano k liye Nhe hoti...
- Hazrat ALi (R.A): Sab se bari khayanat apni Qaum se Ghaddari hay
- Hazrat ALi (R.A): Gunah Jawan ka bhi bad hy magar borhay ka bad tar hay
- Hazrat ALi (R.A): Azaadi ki hifazat na kernay wala Ghulami mien griftaar h jata hay
- Hazrat ALi (R.A): Insan Dukh nahe detay, Insano se Wabasta Umeedein dukh deti hain
- Hazrat ALi (R.A): Agar Tum kisi ko chota dekh rahay ho to ya usay door se dekh rahay ho ya gharoor se
- Hazrat ALi (R.A): Jab Tum dunya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi rasta na niklay to Sadqa day ker Allah se tajaarat kiya kero.
- Hazrat ALi (R.A): Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy
- Hazrat ALi (R.A): Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai
- Hazrat ALi (R.A): AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya ... tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare
- Hazrat ALi (R.A): Duniya ka sab say mshkil kam apni islh krna, aur sab assan kam dusroon par tanqeed karna hay
- Hazrat ALi (R.A): Apni sooch ko pani ky qtroon say bhe zeyada shafaaf rakho kun k jes tarha qtroon say drya banta hay isi tarha shchon say iyman banta hay
- Hazrat ALi (R.A): Koi tumhara dil dukhay to naraz mat hona. kun k qudrat ka qanoon hay jis darakht ka phal zeyada mitha hota hay log usi ko pathar martay han
Posted By:highflown | At:06:26
1 Comment so far
All Quotation of Doctor Allama Muhammad Iqbal Here. |
- Quran Majeed ka sirf motalya hi na kia kro bal ky, es ko sumjha bhe kro. ( ALLAMA IQBAL)
- Ilm ki jostago jis rung me bhe ki jay, jays hi. ( ALLAMA IQBAL)
- Ik sochnay walay zinda insan k khalat badaltay rahtay han, nhi badalta to pathar nahi badalta. ( ALLAMA IQBAL)
- "Insan ki roh ki asal kafiyat gum hi" khoshi ik arzi shay hi. ( ALLAMA IQBAL)
- Zindagi ka raz yahi hi k jasey halat man raho khosh raho. ( ALLAMA IQBAL)
- Kam meri nazar me asay hi moqadas hi jasay ibadat. ( ALLAMA IQBAL)
- Allah say karay door to, taleem bhe fitna. Amlak bhe olad bhe jageer bhe fitna. Na haq k liya othay to shmsheer bhe fitna. Shamsheer hi kya nara ay takbeer bhe fitna
( ALLAMA IQBAL)
Subscribe to:
Posts (Atom)